Dear Student,

SOL Online Classes ke liye aapko neeche diye gaye steps ko follow karna hoga. Ye instructions simple hain aur aapko step-by-step guide karengi taaki aap apni online classes aasani se join kar sakein.

Step 1: SOL Website par Jaaye

  • Sabse pehle, aapko SOL ki official website SOL Website par jaana hoga.
  • Yahan par, “Student Dashboard” ka option select karna hai.

Step 2: Login Karein

  • Ab, aapko apna SOL Roll Number aur Barcode/Control Number enter karna hoga.
  • Iske baad, aapko Microsoft Teams app ko download karne ke liye click karna hoga. Aap yahan Microsoft Teams App ko download kar sakte hain.

Step 3: Microsoft Teams Mein Login Kaise Karein

  • Jab Microsoft Teams app download ho jaye, usse open karein.
  • Login karte waqt, User ID ki jagah aapko apna SOL Roll Number likhna hai, aur uske saath “@sol-du.ac.in” ko jod dena hai. For example: Agar aapka roll number 123456 hai, to aapko “123456@sol-du.ac.in” likhna hoga.
  • Ab “Next” button ko click karein.
  • Phir, Password ki jagah “sol#” likhna hai aur uske saath apna poora Barcode Number type karna hoga. Example: sol#987654321
  • If there is any issue, login to the virtual classroom by enter your name on MS Teams without logging in at the time of live session.
  • Jab aapne correct login details enter kar liya, to “Get it/Enter/Join Now” button par click karein.